Page 201 - Quran-e-Kareem
P. 201
5 Sureh Al Maeda (201) 7 para
th
th
Ke hum per aasman se ek khwaan(kishti) puraaz tuaam (khaane k liye)
nazil kerdey (toye) (Eesa ney farmaya ) k ager tum momin ho tu Allah se
daro 5:112 unhoney arz ki k hum tu ye chahtey hain k usmein se kuch
khain aur hamarey dil mutmaeen hojain aur hum ye jaan lein k aap ne
hum se sach fermaya aur iskey gawah (bhi) ban jaen 5:113 Eesa ibn-e-
Marium ne arz ki k aye Allah merey perwerdigaar humper ek khwaan
puraaz tuaam aasman se nazil ferma k wo hamarey awal-o-akhir k liye eid
qarar paaye aur teri taraf se ek nishani rahey (jeem)aur humko rizq ata
ferma aur tu sabsey behter rizq ata fermaney wala hai 5:114 khuda ta’ala
ne fermaya k mein tumper usey zaroor nazil kerney wala hoon (jeem) phir
jo shakhs badh iskey tum mein se kufraan-e-nemat karega tu usko azaab
bhi aesa dunga k aalam mein se kisi ko waisa azaab na dunga 5:115
(15AIN7-5)) aur (uswaqt ko yaad karo) jiswaqt khuda ye fermayega k aye
Eesa ibn-e-Marium kia tumney logon se ye kehdia tha k Allah k siwa
mujhey aur meri maa ko aur do khuda banalo (toye) wo arz karengey teri
zaat (shirk se) bari hai mujhey kia hogaya tha

