Page 224 - Quran-e-Kareem
P. 224
6 Sureh Al-Anam (224) 7 para
th
th
Alag raho 6:106 aur ager Allah ko manzoor hota tu wo shirk hi na kertey
aur humney tumko inka nigehbaan nahi banaaya hai (jeem) aur na tum
unkey zimedaar ho 6:107 aur jo log Allah k siwa kisi doosrey ko pukartey
hain unko bura bhala na kaho k wo baghair sochey samjhey be adbi se
Allah ko bura kahin gey (toye) issi tarhan se humney her ek groho k liye
uskey amal ko zeenat di hai phir unki baazghasht unkey rab ki taraf hai
phir wo jo kuch amal kia kertey hain usey unko agah kerdega 6:108 aur
unhoney poori koshish se Allah ki qasam khai thi k ager koi ayat unkey
pass ayegi tu wo zaroor usper imaan laengey (toye) tum kehdo k aayat tu
sirf khuda k ikhtiyaar mein hain aur tum kia jantey ho k ye mojizah
dekhker bhi imaan na laingey 6:109 aur hum inkey dilon ko aur unki
ankhon ko ulat dengey goya k wo awal mertaba (hi) imaan na laye they
aur unko unhi ki serkashi mein chordengey k wo sergerdan rahein 6:110
(13AIN10-19)

