Page 226 - Quran-e-Kareem
P. 226
6 Sureh Al-Anam (226) 8 para
th
th
aur tumhaarey rab ka kalma azro-e-sadaq-o-adal(sachaayi o insaaf k saath)
k poora hogaya (toye) iskey kalmon k badalney wala koi nahi hai aur wo
bara suney wala (aur) janey wala hai 6:115 aur ager tum in logon mein se
jo zameen mein hain akser ka kehna maan logey tu wo tumko rah-e-khuda
se bhatka dengey (toye) wo guman hi gumaan ki peravi kertey hain aur jo
baat kehtey hain atkal pachoo (anaari pann) kehtey hain 6:116 yaqeenan
tumhaara rab unlogon ko khoob janta hai jo uski rah se bhataktey hain
(jeem) aur wo hidaayat yafta logon se (bhi) khoob waqif hai 6:117 pus
Allah ka naam jis (zabea) per lia gaya hai usmein se khao ager tum uski
nishaniyon per imaan rakhney waley ho 6:118 aur tumhey kia hogaya hai
k jin (zabehon) per Allah ka naam lia gaya hai unmein se nahi khaatey
halankey jin cheezon ko usney tumper haram kia hai unhey kholker bayan
kerdia hai (toye) siwaaye iskey k jis cheez k liye tum uzter (bechayn) hojao
aur beshak bohhot se apni khwahishon ki peravi kerkey bejaney boojhey
gumrah hojatey hain (toye) beshak tumhaara perwerdigaar ziadati kerney
walon se khoob agah hai 6:119 gunah k zahir-o-batin (dono) ko chordo
(toye) beshak jo gunah kiye chaley jatey hain

