Page 219 - Quran-e-Kareem
P. 219
6 Sureh Al-Anam (219) 7 para
th
th
Her ek ko apna raasta dikhaya aur nooh ko pehle hi rasta dikhaya tha aur
unki aulaad mein se daood ko aur salman ko aur ayoob ko aur yusuf ko
aur moosa ko aur haroon ko (rah dikhai) aur hum naiki kerney walon ko
aesa hi badla dia kertey hain 6:84 (laa) aur zakariya ko aur yahya ko aur
eesa ko aur iliyas ko (rah dikhai) in mein se her ek saaleha mein se tha
6:85 (laa) aur ismail ko aur isa ko aur yunus aur looth ko (rah dikhai)
(toye) aur her ek ko tamam alimoun per fazeelat di 6:86 (laa) aur unkey
baap dadaon mein se aur unki aulaad mein se aur unkey bhaiyon mein se
(jeem) (jisko munasib jana ) humney muntakhib kerlia aur rah-e-rast ki
hidaayat kerdi 6:87 ye Allah ka rasta dikhana hai wo apney bandon mein
se jisey chahey apna rasta dikhladey (toye) aur ager unhoney shirk kia hota
tu jo kuch wo kia kertey they sab akarat hojata 6:88 wo wohi hain jinko
humney kitaab aur hukumat aur nabooat ata ki (jeem) phir ager ye
(kufaar) un cheezon ka inkaar Karen tu (kuch perwah nahi kyunkey)
humney tu ye un logon k supard ki hain jo unkey munkir nahi hain 6:89
wo wohi tu hain

