Page 225 - Quran-e-Kareem
P. 225
6 Sureh Al-Anam (225) 8 para
th
th
Aur ager hum waaqai un per farishtoun ko nazil kerdetey aur murdey
unsey batein kertey aur her shay ko hum unkey sath mashoor kerletey tab
(bhi) wo imaan na laatey siwaye iskey k Allah hi ko manzoor hota laikin
akser in mein se jahil hain 6:111 aur issi tarhan humney her nabi k
dushman ins-o-jin se qarar diye jo banawati batein dhoka dene k liye ek
doosrey k kaan mein phoonktey hain (toye) aur ager tera rab chahta to wo
aesa na kertey ab tum unko aur jo aftraperdaziyan (jhooti baatein) wo
kertey hain unko chordo 6:112 aur isliye k inkey dil jo akhirat per iman
nahi rakhtey hain uski taraf mutawajha hojain aur isliye k wo is baat ko
pasand bhi kerlein aur isliye bhi k ye (bhi) wo kaam kerney lagein jo kuch
wo kerney waley hain 6:113 kia mein khuda ko chordh ker kisi doosrey ko
hakim banaon halankey wo wahi hai jisney tumhaari taraf mufsal kitab
nazil ki (toye) aur wo log jinko humney kitab di hai is baat ko jantey hain
k wo khuda ki taraf se berhaq nazil hui hai pus tum hargiz shak kerney
walon mein se mat hona 6:114

