Page 221 - Quran-e-Kareem
P. 221
6 Sureh Al-Anam (221) 7 para
th
th
Aur jo ye kehdey k mein bhi aesa hi kalaam nazil kerdunga jaisa k Allah
ney nazil kia hai aur kaash tum ye dekhtey jab ye zalim maut ki sakhtiyon
mein hon aur farishtey haath berhaaye huye (kehtey) hon k (jeem) apni
jaanein hawaaley kerdo (jeem) aaj tum zilat k azaab se saza yaab hogey
bawaja iskey k tum khuda k berkhilaaf naahaq batein banaaya kertey they
aur uski aayatoun (ke maaney) se akra kertey they 6:93 aur tum hamaarey
pass ek ek kerkey aaye jaisa k humney pehli dafaa tumko paida kia tha aur
jo kuch humney tumko dia tha wo tum apney peechey chordh aye (jeem)
aur hum tumhaari in sifaarish kerney walon ko tumhaarey sath nahi
dekhtey jinki nisbat tumko ye gumaan tha k wo bhi tumhaari khilqat
mein hamaarey shareek hain tumhaarey aur unkey maabayn yaqeenan
judai hogai aur jis cheez ka tumko bharosa tha wohi tumsey jati rahi 6:94
(11AIN4-17) beshak khuda daana ka aur guthli ka shagafa kerney wala hai
murda se zinda ko nikalta hai aur aur zinda ko murda se nikalney wala hai
(toye) wohi Allah hai phir tum kidher behkey jatey ho 6:95 (wo) subha ka
noor phailaney wala hai (jeem) aur raat ko usney sukoon qaraar dia hai
aur chand aur sooraj ko

