Page 228 - Quran-e-Kareem
P. 228
6 Sureh Al-Anam (228) 8 para
th
th
kertey hain unko khuda ki taraf se zillat pohonchey gi aur bawajha iskey k
wo makar kia kertey they unko sakht azaab dia jayega 6:124 pus jiski
nisbat Allah ye chaahta hai k usey hidaayat kare tu uska seena islam k liye
kholdeta hai (jeem) aur jiski nisbat ye chaahta hai k usey tofeekh hidaayat
salb tu uskey seeney ko tang aur thos kerdeta hai goya wo asmaan ko
cherha chala jata hai (toye) issi tarhan unlogon per jo imaan nahi rakhtey
hain Allah khabasat ko sawar kerdeta hai 6:125 aur ye tumhaarey rab ka
rasta seedha hai (toye) naseehat paney waley logon k liye humney ahkaam
ko kholker bayan kerdia hai 6:126 unkey rab k pass unkey liye salamti ka
makaan mojood hai aur wo jo amal kertey hain unkey barey mein wo
unka hami kaar hai 6:127 aur jis din un sab ko jama karega (phir wo ye
kaheyga) (jeem) k aye guroh-e-jinnat tum admiyoun se ziada berdh gaye
they (jeem) aur admiyoun mein se (jo) unkey tarafdaar (hain wo) arz
karengey k aye hamarey perwerdigaar hum mein baaz ne baaz k zariye se
nafa paya aur hum us mudat ko pohonch gaye jo tooney hamarey liye
muqarrar fermai thi (toye) khuda ta’ala fermayega k jahannum tumhaara
thikana hai ussi mein tum hamesha rahogey siwaye iskey k

