Page 222 - Quran-e-Kareem
P. 222
6 Sureh Al-Anam (222) 7 para
th
th
Hisaab ye (toye) ye zaberdast sahib-e-ilm ka muqarrar kia hua hai 6:96 aur
wo wahi hai jisney sitaaron ko tumhaarey liye muqarrar kia hai k tum
unkey zariye se khushki aur tari k andheriyon mein rah palo (toye)
yaqeenan jaaney waley logon humney kholker aayatein bayan kerdeen 6:97
aur woh wohi hai jisney tumko ek zaat se paida kia phir qarar ki jagha hai
aur supardigi ka muqaam beshak samajhney walon k liye humney aayatein
kholker bayan kerdeen 6:98 aur wo wohi hai jisney aasmanon se pani
utaara jiskey zariye se humney her qisam ki roendigi(payda karne waali
cheezain) paida ki phir ussey humney hari tehniyan nikalin jinmein se
hum jurey huye daney nikaltey hain (jeem) aur darakht khurma k gabhey
mein se lataktey huye guchey (nikaltey hain) aur angoor k baagh o zaitoon
o anaar (hum paida kertey hain k inmein se) miltey jultey bhi hain aur
bemayl bhi (toye) uskey phal ki taraf jabkey wo phal laaye aur uski
pukhtagi ki taraf tu nazer bhar k dekho (toye) beshak in mein se in logon
k liye jo imaan laye nishanniyan mojood hain 6:99 aur unhoney tu Allah
ka shareek jinon ko banalia halankey unko Allah hi ney paida kia hai aur
uskey liye

