Page 227 - Quran-e-Kareem
P. 227
6 Sureh Al-Anam (227) 8 para
th
th
ankhareeb wo apney kiye ki saza paingey 6:120 aur Allah ka jis (zabeah) pe
naam nahi lia gaya hai usmein se mat khao aur ye beshak nafermani hai
(toye) aur shayateen apney doston k kanon mein phoonktey phirtey hain
taakey wo tumsey laren (jeem) aur ager tum unki baat maan logey tu
beshak tum (bhi) mushrik hojaogey 6:121 (hamza) kia wo jo murda tha
jisko humney zinda kia aur humney isko noor dia k iskey zariye se logon
mein chaley phirey missal is shaks k hai jo andherion mein ho aur unsey
nikal na sakey (toye) issi tarhan kafiron k amaal zinat diye gaye hain 6:122
aur issi tarhan humney her (her) gaon mein iskey barey (barey) mujrimon
ko muqarrar kia hai taakey wo usmein chaalen chalein (toye) halankey jo
chaalein wo chaltey hain apni hi zaat ki kharabi k liye (chaltey hain) aur
samajhtey kuch nahi 6:123 aur jiswaqt unkey pass koi nishani aati hai tu
wo kehdetey hain k hum tu imaan na laingey jabtak k humko waisa kuch
na dia jaye jaisa k Allah k rasooloun ko dia gaya hai (toye) Allah us mehal
se khoob waqif hai jahan apni risalat ko muqarrar farmaaye ankhareeb jo
log gunah

