Page 220 - Quran-e-Kareem
P. 220
6 Sureh Al-Anam (220) 7 para
th
th
Jinko Allah ney raasta dikhlaya hai pus aye rasool (toye) tum unhi k raaste
per chalo kehdo k mein tumsey isper kuch ujrat nahi mangta (toye) ye tu
aur kuch nahi mager kul alamon k liye ek naseehat hai 6:90 (10AIN8-16)
aur un logon ney khuda ki aesi qader na ki jaisa k haq qader kerney ka tha
jiswaqt unhoney ye kehdia k Allah ney tu kisi admi per koi cheez nazil hi
nahi ki (toye) tum daryaaft karo k wo kitaab jo moosa laaye they kisney
nazil ki thi jo qul admiyoun k liye roshni aur hidaayat thi jisko tumney
warq warq ker rakha hai jinko tum zahir kertey ho aur bohhot se ko
chupatey ho (jeem) aur tumko wo kuch sikhaya gaya hai jisko tum aur
tumhaarey baap jantey (bhi) na they kehdo wo Allah hi hai phir unko
chordh do k wo apney behooda khayalat mein parey kheltey rahein 6:91
aur ye wo kitaab hai jisko humney nazil kia hai berkat wali hai apney se
pehli kitaab ki tasdeekh kerti hai taakey tum makkah walon ko aur uskey
hawali k rehney walon ko darao (toye) aur jo akhirat pe imaan rakhtey
hain aur apni namaazoun ki hifazat kertey hain wo is kitaab per bhi imaan
rakhtey hain 6:92 aur usey ziada zalim kaun hoga jo Allah per jhoota
bohtaan bandhey ya yeh kehdey k mujhper (bhi) wahi ayi hai halankey
usper koi wahi nahi bheji

