Page 230 - Quran-e-Kareem
P. 230
6 Sureh Al-Anam (230) 8 para
th
th
wo aaney wali hai aur tum khuda ko ajiz kerney waley nahi ho 6:134 tum
kehdo k aye meri qaom tum apni jagha (jo ji chahey wo) kaam kertey raho
mein (bhi) (apni jagha) amal kerta rahonga (jeem) agey chal ker tumko
maloom hoga akhirat ka gher kiskey hath rahega beshak zalim falah na
paingey 6:135 aur (in kafiron ney) khuda ki paida ki hui zaraat aur
maweshi mein khuda ka hissa muqarrar kia aur ye kehdia k ye tu hamarey
guman k mojab khuda ka hissa hai aur ye hamarey sherka(hissaydaar) ka
hai (jeem) aur jo hamarey sherka(hissaydaar) ka hai wo tu Allah ko nahi
pohonchta (jeem) aur jo Allah ka hai wo hamarey sherka ko pohonchta hai
(jeem) (ye) kaisa behoda hukum lagaatey hain 6:136 aur issi tarhan bohhot
se mushrikeen ki nazer mein inkey sherka(hissaydaar) ne unki apni aulaad
k qatal ko zeenat dedi hai taakey unko halaak Karen aur unkey deen ko
unper multabus kerdein (jeem) aur ager Allah chahta tu wo aesa na kertey
bus tum unko aur unki aftraperdaziyon ko chordo 6:137 aur unhoney
apney guman k bamojab ye kaha k ye maweshi aur kheti achooti hai isko
koi nahi khasakta laikin jisko hum chaahein aur kuch wo chopaye hain
jinki sawari

