Page 231 - Quran-e-Kareem
P. 231
6 Sureh Al-Anam (231) 8 para
th
th
haram ki gayi hai aur kuch wo chopaye jinper zibah kerney k waqt khuda
ka naam nahi letey ye (majmoa ahkaam) khuda per bohtaan hai (toye)
ankhareeb wo unko is bohtaan bandney ki saza dega 6:138 aur unhoney ye
(bhi) kehdia k in maweshion k paith mein jo kuch hai wo khalis hamarey
mardoun hi k liye hai aur hamaari azwaaj per haram hai (jeem) aur ager
wo murdaar hojaye tu usmein sab shareek hain (toye) ankhareeb unkey is
bayan ki sazaa dega beshak wo sahib-e-hikmat-o-ilm hai 6:139 yaqeenan
un logon ne nukhsaan uthaya jinhoney nadani se baghair samjhey boojhey
apni aulaad ko qatal kerdia aur jo kuch Allah ney unko ata fermaya tha
Allah hi per bohtaan baand ker haram kerdia (toye) beshak wo gumrah
hogaye aur hidayatyafta na rahain 6:140 (hamza) aur wo khuda wohi hai
jisney baghaat paida kiye hain k inmein bailein cherhi hui hoti hain aur
zameen mein perhi hui aur darakht khurma aur khetiyan jinkey phal
tarhan batarhan k hotey hain aur zaitoon aur anaar jo (soorat mein )
hamshakal (bhi) hotey hain aur bemail (bhi) jab unmein phal ajaye tu
unkey phal khao

