Page 232 - Quran-e-Kareem
P. 232
6 Sureh Al-Anam (232) 8 para
th
th
aur kaatney k din uska muqarara hissa dedo aur fuzool kherchi na karo
(toye)ke khudaye ta’ala fuzool kharch logon ko dost nahi rakta 6:141 (laa)
aur chopayon mein se tumhaarey liye laadney (loading) k qabil (bhi) paida
kiye aur zameen se lagey huye (bhi) (toye) jo kuch Allah ney tumko
inaayat kia hai usmein se khao piyo aur shaitan k qadam baqadam na
chalo (toye) beshak wo tumhaara khula dushman hai 6:142 (laa) (Allah
ney khaney k liye) aath nar o maada (paida kiye) bhairdh ki qisam mein se
do aur bakri ki qisam mein se do daryaaft karo k aaya dono nar haraam
kiye hain ya dono maada ya ye k maadaon k paith mein jo bachey hain
(haram hain) ager tum sachey ho tu ilm k zariye se mujhey khaber do
6:143 (laa) aur oonth ki qisam se do aur gaaye ki qisam se do daryaaft karo
k aaya dono nar haram kiye hain ya dono maada ya maadinon k paith
mein jo bachey hain wo (haram hain) (toye) aaya tum uswaqt mojood they
jiswaqt Allah ney tumko iski baabat hukum dia (toye) pus usey ziada zalim
kaun hoga jo jhoot khuda per aftra kare k uskey zariye baghair ilm k logon
ko

