Page 233 - Quran-e-Kareem
P. 233
6 Sureh Al-Anam (233) 8 para
th
th
gumrah kare (toye) beshak Allah zaalimoun ki rahbari nahi fermaata 6:144
(hamza) (aye rasool) kehdo k mujhper jo wahi ayi hai mein tu usmein kisi
khaaney waley per jo (ashia mazkoora mein se) kuch khaaye koi cheez
haraam nahi pata masiwaaye iskey k murdaar ho ya uchal ker nikla hua
khoon ya soover ka gosht k ye sab gandi cheezein hain ya nafermani ka
zabeeha jissper ghair khuda ka naam lia gaya ho (jeem) phir jo shaks
iztarar ki halat mein ho na baghawat kerney wala (ho) aur na hadh se
guzerney wala(aur wo kuch khaley) tu beshak tumhaara perwerdigaar bara
bakhshney wala (aur) rehmat kerney wala hai 6:145 aur yahoodiyon per
humney her nakhun wala haram kerdia tha (jeem) aur gaye aur bakri ki
qisam se unper undono ki cherbiyan haram kerdein siwaye uskey jo unki
pusht se chimti hui ho ya anton per lipti hui ya haddiyon k sath mili hui
ho (toye) ye humney unko unki baghawat ki saza di thi (zae) aur hum
zaroor sachey hain 6:146 phir ager wo tumko jhutlain to tum kehdo k
tumhaara perwerdigaar wasi rehmat wala hai (jeem) aur uska azaab
naafermaan logon se uthaya na jayega 6:147 ankhareeb mushrik ye
kahingey k

