Page 289 - Quran-e-Kareem
P. 289
th
8 Sureh al-anfal (289) 10th para
Aur ye jaanlo k jab kisi tarah ki ghaneemat tumhaare haath aaye (1) to
uska paanchwa hissa allah ka aur (2) rasool ka aur (rasool k )
qaraabaddaaroun ka aur yateemoun ka aur miskeenoun ka aur
musaafiraoun ka (haq) hai bashartiyye k allah per imaan laaye ho aur uss
(madad) per jo humne apnay bande per faysle k din naazil ki thi jiss din
do growhoun ki muth bhayr hogayi thi (toye) aur allah her cheez per
(poori poori) khudrat rakhne wala hai 8:41 (uss waqt ko yaad karo) jab k
tum nazdeek ki ghaati mea they aur wo intehaayi sirrey [kinaare] per aur
qaafela tumse neechay ki taraf tha (toye) aur agar tum ek dusre se wada
karlete to waqt e moayyan se tum zaroor ikhtelaaf karte (laa) lekin (tumko
yakaayak ek dusre k muqaabil kardiya ) taa k jo honaywala tha usko allah
poora karde (pesh)(laa) aur taake jo halaak honay wala hai wo hujjat ( wa
daleel ) se halaak ho aur jo zinda rehne wala hai wo bhi hujjat (wa daleel)
se zinda rahey (toye) aur zaroor allah sunne wala(aur) jaanne wala hai
8:42(laa) (uss waqt ko yaad karo ) jabke allah ne unn logoun ko tumhaare
(3) khwaab mea kam karke dikhaya (toye)

