Page 288 - Quran-e-Kareem
P. 288
th
8 Sureh al-anfal (288) 9th para
So ankhareeb wo aur kharch karenge phir wahi unke liye baayes hasrat
hojaayega phir wo maghloob hojaayenge (pesh)(toye) aur jo log kaafir
hogaye wo jahannum ki taraf haanke jaayenge 8:36(laa) taa k khuda e taala
naa paak ko paak se alag karde (1) aur na paak ko ooper taley rakhde phir
unn sab ka dhayr lagaade phir uss saare dhayr ko jahannum mea jhonk de
(toye) wahi to nuqsaan uthaane waale hongay 8:37(4AIN9-18) kaafiraoun
se kehdo k agar wo baaz aayein to jo kuch pehle ho chukka hai wo unko
muaaf kadiya jaayega (2) aur agar phir waisa hee karenge to pehloun ka
qaayeda to muqarrar ho hee chukka hai 8:38 aur unse yahaan tak larho k
(3) kufr baakhi na rahey aur deen sab ka sab khaalis allah ka hojaaye
(jeem) phir agar wo kufr se baaz aajaye to allah unke aamaal ka nigraan
hai 8:39 aur agar wo na baaz aayein to ye jaan lo k allah tumhaara haami
hai (toye) (aur) wo sab se behtar haami aur sab se behtar madadgaar hai
8:40

