Page 287 - Quran-e-Kareem
P. 287
th
8 Sureh al-anfal (287) 9th para
Agar hum chaahein to hum bhi iske (1) maanind kehlain ye to sirf pehle
logoun ki kahaanniyan hai 8:31 aur (uss waqt ko yaad karo) jab k unhoney
ye kehdiya k ya allah agar ye amr haq hai aur teri taraf se hai to hum per
aasmaan se phattar barsa ya hum ko koi dardnaak azaab de 8:32 aur allah
ka ye kaam nahi hai k jiss haal mea tum unn mea moujuud ho wo unko
azaab de (toye) aur na allah unko iss haal mea azaab dega k wo astaghfaar
karte rahey 8:33 aur allah unko azaab kyoun na de jiss haal mea k wo
masjid el haraam se rokte hai halaanke wo khud uske mustahaq (3) nahi
hai (toye) us k mustahaq to sirf shirk se bachne waale hai wa (magar) lekin
unn mushrikoun mea se aksar iss baat ko nahi jaante 8:34 aur baytullah k
paas unki namaaz siwaaye seetiyaan (4) bajaane aur taaliyaan pattkhaarne
k aur kuch bhi na thi (toye) pass jaise (jaise)kufr tum kiya karte they waise
hee ab azaab (bhi) chakho 8:35 beshak jo log kaafir hogaye wo apnay maal
iss gharz se sarf karte hain k raah e khuda se rokain (toye)

