Page 290 - Quran-e-Kareem
P. 290
th
8 Sureh al-anfal (290) 10th para
Aur agar wo tumhey zyaada karke dikhaata to tum zaroor himmat haar
dete aur iss muaamle mea zaroor tum aapas mea jhagarte lekin allah ne
bacha liya (toye) beshak wo diloun ki haalat se khoob waaqif hai 8:43 aur
(uss waqt ko yaad karo) jab k tumhaari ek dusre se muth bhayrd hui thi
unhein tumhaari nazroun mea kam (1) dikhaya tha aur tumko unki
nazroun mea thora (2) kar k dikhaya tha taa k allah jo kuch karna tha
usko poora kar de (toye) aur kul amoor ki baaz gasht allah hee ki taraf hai
8:44(5AIN7-1) aye imaan laane waaloun jab kisi grow se tumhaari muth
bhayrd hojaaye to saabit khadam raha karo aur allah ko bohhot yaad kiya
karo taa k tum falaah paao 8:45(jeem) aur allah aur uske rasool ki itaayat
karo aur aapas mea na jhagro warna tum himmat haar dogay aur
tumhaaree (3) hawaa [tumhaara khauff o dabdabaa] ukhar jaayegi aur
tum sabar karo beshak allah sabr karne waaloun k saath hai 8:46(jeem) aur
tum unn logoun k maanind naa ho jo apnay gharoun se itraatay huye aur
logon ko dekhaate huye nikle (4) aur (logon ko) raah e khuda se rokte
huye (toye) aur jo amal bhi ye karte hai allah k ahaatay [nazar] mea hai
8:47

