Page 291 - Quran-e-Kareem
P. 291
th
8 Sureh al-anfal (291) 10th para
Aur jab shaitaan ne unke aamaal ko unki nazroun mea zeenat dediya aur
ye keh diya k aaj in aadmiyoun mea se tum per koi ghaalib na aayega jiss
haal mea k mea tumhaara pusht panaah hun (jeem ) phir jab unn dono
growhoun ne ek dusre ko dekha to shaitaan apnay pichle paaon palat gaya
aur unse kehne laga (1) k mea to tumse alag houn mea wo kuch dekhta
houn jo tum nahi dekhte mea allah se darta houn aur allah sakht azaab
dene wala hai 8:48(6AIN4-2) (uss waqt ko yaad karo) jab k munaafiq aur
wo log jinke diloun mea rog tha ye kehne lagey k inn logoun ko inke deen
ne dhoka diya hai (toye) aur jo allah per bharosa rakhega to allah
zabardast (aur) hikmat wala hai 8:49 aur kaash tum uss waqt dekhte jab k
farishte unn kaafiraoun ki rooh khabz karte hain aur unke (2) chehroun
aur peethoun per maarte jaate hai (jeem) aur (ye kehte jaate hain k) azaab
dozakh ka maza chakho 8:50 ye uske badley hai jo tumhaare haath pehle
kar chukey hain aur allah apnay bandoun k haq mea hargiz zaalim nahi
hai 8:51(laa) jaise

