Page 292 - Quran-e-Kareem
P. 292
th
8 Sureh al-anfal (292) 10th para
Firaoun waaloun ki (laa) aur unse pehle waaloun ki haalat hui (toye) k
unhone khuda ki nishaaniyoun ka inkaar kiya aur allah ne unke
gunaahoun k badle mea unko giraftaar kiya (toye) beshak allah zabardast
(aur) sakht azaab dene wala hai 8:52 ye issliye k allah kisi nehmat ka jo
kisi (1) qoum ko inaayat ki ho badalne wala nahi hai jabtak k wo apnay
nafsoun ki haalat khud na badal daaley (toye) aur beshak allah sunne wala
(aur) jaanne wala hai 8:53(laa) jaise k firaoun waaloun ki (laa) aur unse
pehle waaloun ki haalat hui (toye) (k) unhonay apnay parwardigaar ki
nishaaniyoun ko jhutlaaya aur humne unko unke gunaahoun k badle mea
halaakh kardiya aur firaoun waaloun ko dubodiya (jeem) aur wo sab k sab
zaalim they 8:54 beshak allah k nazdeek sab se battar (2) haiwanaat wo log
hain jo kaafir hogaye aur imaan nahi laate 8:55(jeem) jin se tumne
muaayeda kiya (3) phir wo apnay ahad ko her her martaba torh torh dete
hain aur zara nahi darte 8:56 pass agar tum unnper laraayi mea qaabu paa
jaao to unke zariyea se unko jo unki pushti per hain

