Page 316 - Quran-e-Kareem
P. 316
th
9 Sureh at-taubah (316) 10th para
Munaafiqeen se jehaad karo aur unper sakhti karo (toye) aur unka thikana
jahannum hai (toye) aur wo bohhot hee buri jagah hai 9:73 wo khuda ki
khasam khaa khaa ker kehte hain k unhoney aesa nahi kaha (toye)
halaanke unhonay kufr ka kalma zaroor kaha aur wo apnay islaam k baad
kaafir hogaye aur aisee baat ka qasad kiya (1) jisse kar na sakey (jeem) aur
wo issi se to bigray k allah ne aur uske rasool ne apnay fazal se unko (2)
ghani kardiya (toye) pass agar wo touba karlenge to unke liye behtar hoga
(toye) aur agar wo rogardaan hongay to allah unko dunia aur aakheratt
mea dardnaak azaab se moazab(azaab naazil) karega (toye) aur zameen
mea na unka koi haami hoga aur na madadgaar 9:74 aur unmea aise bhi
hai(3) jinhonay allah se ahad kiya tha k agar wo apnay fazal se humko
kuch dega to hum zaroor tasadduq bhi diya karenge aur nayk bandoun
mea se bhii hojaayenge 9:75 phir jab usne apnay fazal se unko diya to uske
baarey mea unhoney bukhul(kanjuussi) kiya aur rogardaan hokar apnay
ahad se phir gaye 9:76 pass khuda e taala ne unke diloun mea uss din tak
k liye nafaaq payda kardiya jissdin (4) k wo khud uss se mulaakhat
karenge (ek to) issliye k

