Page 317 - Quran-e-Kareem
P. 317
th
9 Sureh at-taubah (317) 10th para
Jo waada unhonay khuda se kiya tha uske khilaaf kiya aur (dusre) issliye k
jhuut bola karte they 9:77 unhonay itna na samjha k allah unke raaz ko
bhi jaanta hai aur unki sargoshiyoun ko bhi aur ye k allah barha ghayb ka
jaanne wala hai 9:78 jo log momineen mea khush dili se khairaat karne
waaloun ko (1) ayeb lagaate hai aur jinko apni mehnat k siwaaye (2) kuch
mayyassar nahi aata unko bhi ayeb lagaate hain phir (iss tarah) sab se
hanste hain (toye) allah unn sab ki hansi urhaayega aur unke liye
dardnaak azaab (bhi) hai 9:79 tum unke liye dua e maghferatt mango ya
tum unke liye dua e maghferatt na mango (toye) agar tum unke liye sattar
martaba bhi dua e maghferatt maangogay to bhi allah unko hargiz hargiz
na bakshega (toye) ye issliye k unhonay khuda ka aur uske rasool ka
inkaar kiya (toye) aur allah naafarmaan logoun ki rehbari nahi fermata
9:80(10AIN8-16) peechay rehjaane waale rasool khuda k khilaaf apnay
baythe rehne se khush huye aur iss se unhonay nafrat ki k raah e khuda
mea apnay maaloun aur jaanoun se jehaad karte aur logoun se kaha k
garmi mea na niklo (toye)

