Page 318 - Quran-e-Kareem
P. 318
9 Sureh at-taubah (318) 10th para
th
Tum ye kehdo k aatish e dozakh ki garmi to bohhot barhi hui hai (toye)
kaash ye samajte hotey 9:81 pass unhe chahyea k (1) hansey to thora aur
royein bohhot sa (jeem) k jo kuch wo kiya karte they uska badla ho 9:82
phir agar allah tumko unmea se kisi grow k paas waapas laaye aur wo tum
se nikalne ki ijaazat maangain to tum kehdena k tum hargiz hargiz mere
hamraah hoker na niklogay aur mere saath hoker bhi kabhi kisi dushman
se na larogay (toye) tum pehle hee dafa baythe rehne se raazi huye ab
peechey rehne waaloun k saath baythe raho(2) 9:83 aur aye rasool (jab)
unmea se koi marjaaye to tum kabhi uske janaazey ki namaaz na parhna
aur na uski khabr per kharey (3) hona (toye) beshak unhonay allah k aur
uske rasool k saath kufr kiya hai aur wo naafarmaani ki haalat mea
margaye hain 9:84 aur unke maal aur unki aulaad tumko taajub mea na
daalein (toye) siwaaye iske nahi k (4) allah ye chahta hai k in cheezoun k
zariyea se unko azaab de aur unki jaanein iss haalat mea niklain k wo
kaafir ho 9:85

