Page 330 - Quran-e-Kareem
P. 330
10 Sureh yunus (330) 11 para
th
th
SUREH YUNUS (MAKEEH) 109 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Alif laam raa (toye) ye hikmat waali kitaab ki aayaten hain 10:1 Kya logon
ko ye baat ajeeb maaloom hui k hum ne unhi me se ek shakhs ki taraf
wahi bheji k tum logon ko daraao aur jo un me se imaan laye hain unko
ye khush khabri suna do k unke rab k paas unka sacha (martaba aur) paya
hai (toye) kaafiron ne ye keh diya k ye to khula jaadu hai 10:2 Beshak
tumhaara parwardigaar wohi khuda hai jis ne aasmaanon ko aur zameen
ko che din me banaaya phir (uska hukum) arsh par ghaalib aaya (jeem)
(aur wohi) muaamlaat ka bandobast karta hai (toye) baghair uske hukum
k koi safarishi ho hi nahi sakta (toye) yahi Allah to tumhaara

