Page 332 - Quran-e-Kareem
P. 332
10 Sureh yunus (332) 11 para
th
th
paida kiya hai usme parhezgaar logon k liye bohhot si nishaaniyan
moujood hain 10:6 Yaqeenan woh log jin ko humare huzoor me aanayki
umeed nahi hai zindagaani dunya par raazi aur ussi par mutmayeen ho
gaye hain aur woh log jo humaari aayaton se ghaafil hain 10:7 bawajah
unke afaal k unhi ka thikaana jahannum hai 10:8 Beshak jo log imaan laye
aur unhon ne nek kaam kiye unke imaan k sabab unka parwardigaar unko
nemat waali jannaton me pohoncha dega jinke neeche naddiyaan behti
hain 10:9 Unki dua un jannaton me ye hogi k aye Allah tu paak hai aur
unki saahibe salaamat usme salaam hogi (jeem) aur unki khatam e dua ye
hogi k har qisam ki taareef tamaam aalimon k parwardigaar k liye zeba hai
10:10 (ain) (1 AIN 10-6) Aur agar khuda e taala aadmiyon k liye buraayi
me bhi utni hi jaldi kare jitni k unke liye neki me karta hai to unki
muddat bohhot hi jald poori kardi jaaye (toye) hum to un logon ko jo
humaari mulaaqaat ki umeed nahi rakhte unki sarkashi me chor dete hain
k woh aap hi sargardaan (bhaagte daurte ) rahen 10:11 Aur insaan par

