Page 333 - Quran-e-Kareem
P. 333
10 Sureh yunus (333) 11 para
th
th
jab koi museebat aa parta hai to humko lete lete bhete bhete khare khare
pukaarne lagta hai (jeem) phir jab hum uski museebat door kar dete hain
to apni pehli hi raftaar chalne lagta hai goya usne museebat door karne k
liye jo us par pari thi humse dua hi na ki thi (toye) issi tarhan ziyaadati
karne waalon k liye jo jo amal woh karte hain zeenat dedi gayi hai 10:12
Aur beshak humne tum se pehle bohhot se abnaaye zamaana halaak
kardiye jabke un logon ne naa farmaniyaan keen haalanke unke rasool
unke paas khuli daleelen lekar aaye thay magar woh is qaabil hi na rahe
the k imaan laate (toye) gunehgaar logon ko hum isi tarhan badla diya
karte hai 10:13 Phir unke baad humne tumko us zameen me khalifa qaraar
diya taake hum dekhen k tum kese amal karte ho 10:14 Aur jis waqt un
logon k saamne humaari khuli daleelen parhi jaati hain to jinko humaari
mulaqaat ki umeed nahi hai wo keh dete hain k ek quran aisa hi aur lay
aao ya isko badal daalo (toye) tum kehdo k mujhe kya pari hai k mai usse
khud apni taraf se badal doon mai uski perwi karta hoon (jeem) jo kuch
meri taraf wahi ki jaati hai (jeem) agar mai apne rab ki naa farmaani karun

