Page 946 - Quran-e-Kareem
P. 946

th
               88th  Sureh al-ghashiya                     (946)                  30   para


               aur jisne andaaza kiya phir rehbari farmaayi 87:3(laa)(swat) aur jisne chaara ugaya

               87:4(laa)(swat) phir usko khushk aur siyaa kardiya 87:5(toye) (aye rasool)

               ankhareeb hum tumko parhaayenge phir tum naa bhuulogay (1)87:6(laa) magar jo


               khuda chaahe (toye) beshak wo zaahir ko bhi jaanta hai aur chipi baat ko

               (bhi)87:7(toye) aur hum tumhaare liye ek sahal tareekha ki asaan kardenge

               87:8(jeem) (swat) pass nasiyyat karte raho agar nasiyyat faayeda pohonchaaye


               87:9(toye) jo (allah se ) darta hai  wo ankhareeb nasiyyat haasil karega 87:10(laa)

               aur wo badd bakht uss (nasiyyat) se alag rahega 87:11(laa) jo badhi aag mea

               jaayega  87:12(jeem) phir uss mea naa usko maut hee aayegi (2) na zinda hee


               rahega (yaani raahat na mileygi) 87:13 (toye) usne yakheenan falaa paayi jo paak

               (3)raha 87:14(laa) aur apnay parwardigaar k naam ko yaad karta raha aur namaz

               parta raha87:15(toye) lekin tum zidagaani dunia ko muqaddam rakhte ho


               87:16(zaal)(swat) halaan k aakhirat zyaada achi aur zyaada baakhi rehne waali hai

               87:17(toye) beshak yahee mazmoon pehle kitaaboun mea bhi hai 87:18(laa) (yaani)

               Ibrahim aur musa ki kitaaboun mea 87:19(1AIN19-12)



               SUREH AL-GHASHIYA  (MAKEEH) 26 AAYAT


               Bismillah Ar Rahman Nir Raheem



               Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)


               Aaya tumhaare pass dhaanpne waali (museebat) ka zikr bhi pohoncha


               hai?88:1(toye) uss din kitney hee chehre
   941   942   943   944   945   946   947   948   949   950   951