Page 140 - Quran-e-Kareem
P. 140
th
th
4 Sureh An-Nisa (140) 5 para
Baatein kia karo 4:63 aur humne kisi rasool ko nahi bheja magar issliye k
khuda k hukum k bamoujuub uss ki itaayat ki jaaye (toye) aur ye log ussi
waqt jabke (1) inhonay apnay ooper zulm kiya tumhaare paas aajate (2)
aur allah se baksheesh maangte aur rasool bhi inke liye baksheeh talab
karta to ye zaroor allah ko touba khubool karne wala (aur) rehem karne
wala paate 4:64 so aisa nahi hai tumhaare parwardigaar ki khasam ye log
(kabhi) momin na hongay jabtak k un jhagroun mea jo inke maabayn
parhe hai tumko haakim na banaale phir jo kuch tum faysla karo usse
apnay diloun mea tang na paaye aur usko iss tarah tasleem karle jaisa k
tasleem karne ka haq hai 4:65 aur agar hum unnper laazim kardete k aapas
mea ek dusre ko khatl karo ya apnay gharoun se nikal jaao to siwaaye
maadude chand k ye log uski tameel na karte (toye) aur agar wo uske
muaafiq karte jo kuch unko nasiyyat ki gayi thi to ye baat (3) unke liye
bohhot hee achi hoti aur (unke imaan ki) zyaada mazbooti ka baayes hota
4:66(laa) aur uss waqt hum bhi unko barha ajar dete 4:67(laa) aur unko
siraat e mustaqeem tak pohonchaadete 4:68 aur jo allah aur rasool ki
itaayat karenge(4)

