Page 141 - Quran-e-Kareem
P. 141
th
th
4 Sureh An-Nisa (141) 5 para
Wahi to unnlogoun k saath hongay jin per allah ne inaam kiya hai k baaz
payghambaroun mea se hai aur baaz siddiqoun mea se (hai) aur baaz
shaheedoun mea se (hai) aur baaz saaleha mea se (hai) (jeem) aur wahi log
rafaaqat k liye sabse achey hai 4:69(toye) ye khuda ki taraf se fazal hai
(toye) aur khuda ka aagah hona kaafi hai 4:70(9AIN11-6) aye imaan laane
waaloun ! apni hifaazat ka samaan karo(1) pass daste daste niklo ya
ikhattey nikal parho 4:71 aur zaroor tum mea se koi (koi) aisa bhi hai k wo
yakheenan peechey rehjaayega phir agar tum per koi museebat parh gayi
to wo ye kahega k khuda ne mujh per ehsaan kiya k mea tumhaare saath
haazir na tha 4:72 aur agar tumper khuda ka fazal hogaya to (iss surat se
k ) goya tumhaare aur uss k maabayn koi muhabbat hee na thi zaroor ye
kahega k kaash mea bhi inn logoun k hota aur barhi kaamyabi haasil karta
4:73 pass wo log jo aakherat k ewaz mea zindagaani dunia ko bechte hai
unko laazim hai k raah e khuda mea larhe (toye) aur jo shaks raah e khuda
mea larhega wo maara jaayega (2) tab ya ghaalib aayega tab

