Page 142 - Quran-e-Kareem
P. 142
th
th
4 Sureh An-Nisa (142) 5 para
Ankhareeb hum usko barha ajar denge 4:74 aur tumko kia hogaya hai k
tum raah e khuda mea nahi larte halaanke kuch kamzor mard aur aurtein
bachey jo (rok liye gaye hai) arz karte hai (k) aye hamaare parwardigaar !
hum ko is basti se nikaal jiss k baashinday(rehne waale log) zaalim hai
(jeem) aur apni taraf se hamaara koi haami muqarrar farmaade aur apni
taraf se hamara koi madadgaar banaade 4:75 jo imaan laaye hai wo to
khuda ki raah mea larenge (jeem) aur jo kaafir hogaye hai wo taaghut ki
raah mea larenge pass tum shaitaan k dostoun se larho (jeem) yakheenan
shaitaan ka makkar booda(bekaar) hai 4:76(10AIN6-7) (aye rasool) kia
tumne unko nahi dekha jinse ye kehdiya gaya tha k apnay haath roklo (1)
aur namaaz parho aur zakaat do (jeem) phir jab unnper jehaad waajib kiya
gaya to unn mea se ek grow aadmiyoun se aisa hee darne laga jaisa k allah
se darta ya usse bhi zyada (jeem) aur wo ye kehne lagey k aye
parwardigaar

