Page 143 - Quran-e-Kareem
P. 143
th
th
4 Sureh An-Nisa (143) 5 para
Tuu ne humper kyun jehaad waajib kiya hai ? (jeem) kaash humko thorey
din aur mohallat dee hoti (toye)(1) tum kehdo k sarmaaya dunia kam hai
(toye) aur jo log parhezgaar hai unke liye aakherat kahin behtar hai (qaff)
aur tumper ek suut baraabar (bhi) zulm na kiya jaayega 4:77 jahan kahin
bhi tum hongay maut tumko (zaroor) aa legi go tum mazboot burjoun hee
mea kyun na ho (toye) (aur haalat unki ye hai k) agar unko kuch bhalaayi
pohonchti hai to keh dete hai k ye tumhaari taraf se hai (toye) tum kehdo
k sab allah hee ki taraf se hai (toye) inn logoun ko kia hogaya hai k itni
see baat bhi nahi samajte ? 4:78 (aye banday) jo bhalaayi tujhko pohonchti
hai ye allah ki taraf se hai (zaal) aur jo buraayi tujhko pohonchti hai ye teri
zaat ki taraf se hai (toye) aur (aye rasool) humne tumko kull aadmiyoun k
liye payghambar banaaker bheja hai (toye) aur allah shahaadat k liye kaafi
hai 4:79 jo rasool ki itaayat karega (3) usne yakheenan khuda ki itaayat ki
(jeem) aur jo phir jaayega to humne tumko uska nigehbaan banaaker

