Page 144 - Quran-e-Kareem
P. 144
th
th
4 Sureh An-Nisa (144) 5 para
Nahi bheja 4:80(toye)(unki haalat ye hai k) munh se to itaayat ka iqraar
karte hai aur jab tumhaare pass se baahar chale jaate hai to jo kuch tum
kehdete ho uske barkhilaaf unmea se ek grow raatoun ko mashwera karta
hai (toye) aur jo log wo raatoun ko mashwera karte hai usko allah likhta
jaata hai (jeem)to (ab) tum unse rogardaani karo aur allah per bharosa
rakho (toye) aur karsaaz honay k liye allah hee kafi hai 4:81 kia wo quran
mea ghour nahi karte ? (toye) aur agar wo siwaaye khuda k kisi aur k pass
se aaya hota to is mea bohhot hee kuch ikhtelaaf paate 4:82 aur jiss waqt
unko aman ya khauff ki koi baat maaloom hojaati hai to uska afshaa (raaz
zaahir) kardete hai (toye) aur agar wo us ko apnay rasool aur waaliyaan e
amr k saamne pesh kardete to un mea se jo baat ki tayy tak pohonch jaane
waale hai wo us (ki haqeeqat) ko samajh lete (toye) aur agar tumper allah
ka fazal (2) aur uski rehmat nahoti to siwaaye (bohhot hee) thorey logoun
k sab shaitaan ki pairwee hogaye hotey 4:83 pass (aye rasool) tum khuda ki
raah mea larho (jeem) tumhaari zaat k siwaa kisi ko takleef nahi dee jati
aur momineen ko aamada karo (jeem) shaayad allah kaafiraoun k zor ko

