Page 145 - Quran-e-Kareem
P. 145
th
th
4 Sureh An-Nisa (145) 5 para
Rokdey hai (toye) aur allah zor ki haisiyyat se sab se zyaada qawi aur
azaab dene ki haisiyyat se sab se zyaada sakht hai 4:84 jo shaks achi
sifaarish karega us mea se us ko bhi (1) hissa milega (jeem) aur jo shaks
buri sifaarish karega us mea se usko hissa milega (toye) aur khuda her
shay ka nigraan hai(2) 4:85 aur jiss waqt tumko salaam kiya jaaye to tum
usse behtar tarz par salaam karo(3) ya uska jawaab do(toye) beshak
ALLAH her cheez ka hisaab lene wala hai 4:86 allah k uske siwaa koi
maabud nahi (toye) ismea shak nahi k qayamat k roz wo zaroor zaroor
tum sab ko ikhatta karega aur baat kehne mea allah se zyaada saccha kaun
hai ? 4:87 (11AIN11-8) tumhey kia hogaya hai k munaafiqeen k baarey
mea do grow hogaye ho halaanke allah ne unko unke af aal k sabab ulath
diya (toye) kia tum ye iraada rakhte ho k khuda ne jiss se taufeeq hidaayat
salab ki hai tum usse raah e raaste per le aao ? (toye) aur jisse khuda
taufeeq hidaayat sulb kar lega tum hargiz uske liye koi raasta na paaogay
4:88 unki to aarzuu hai k jiss tarah wo kaafir hogaye tum bhi usssi tarah
kaafir hojaao k tum sab baraabar hojaao pass tum unmea se (kisiko) dost
na banaao

