Page 158 - Quran-e-Kareem
P. 158
th
th
4 Sureh An-Nisa (158) 5 para
Aye imaan laane waalo tum insaaf k liye badhey mazboot banjaao aur
khuda k gawah hojao go tumko apni zaat ya maa baap aur rishtedaaroun k
khilaaf gawahi deni parhe koi maaldaar ho ya mohtaaj khuda dono ka
haakim (nigraan) hai pass tum insaaf se darguzar karne mea khwaahish e
nafsaani ki pairwii na karo (jeem) aur agar tum adaa e shahaadat mea
zabaan dabaaogay ya munh pherogay to jo kuch bhi tum karogay allah
usse aagah hai 4:135 aye imaan laane waalo tum allah per aur uske rasool
per aur uss kitaab per jo usne apnay rasool per naazil ki hai aur uss kitaab
per jo usne pehle naazil ki hai imaan lao (toye) aur jiss shaks ne khuda ka
aur uske farishtoun ka aur uski kitaaboun ka aur uske rasooloun ka aur
qayamat k din ka inkaar kardiya raah e raas se bohhot hee duur jaa parha
4:136 jo log imaan laaye aur kaafir huye phir imaan laaye phir munkir
huye phir apnay inkaar mea barh gaye khuda ka ye kaam nahi hai k unko
bakhshey aur na ye k unko raah e raast dikhlaaye 4:137(toye) khush khabri
dedo munaafiqoun k unke liye azaab dardnaak mahiyya hai 4:138 jo
mominoun ko

