Page 202 - Quran-e-Kareem
P. 202
5 Sureh Al Maeda (202) 7 para
th
th
Ke mein aesi baat kehta jiska mujhey koi haq nahi tha (toye) ager mene
aesa kaha hota tu zaroor ussey waqif hota (toye)(isliye) k tu merey dil ki
baat ko jaanta hai aur mein teri posheeda baat se nawaqif hoon
(toye)beshak tu sab se bara ghaib ki baat ko jaaney wala hai 5:116 mene
unsey kuch(bhi) nahi kaha k siwaye uskey jiska tu ne mujhey hukum dia
tha k merey perwerdigaar aur apney perwerdigaar ki ibaadat karo
(jeem)aur jiswaqt tak mein unmein raha mein unka gawah raha (jeem)
phir jab tu ne meri mudat (qayam) poori kerdi to tu khudh unka nigran
tha (toye) aur tu her shay per (poori) ithlah(ilm) rakhney wala hai 5:117
ager tu unko azaab de tu ye terey bandey hain (jeem)aur ager tu inhein
bakshdey tu beshak tu zaberdast hikmat wala hai 5:118 khuda ta’ala
fermayega ye din (tu) wo hai k sachon ko unka sach nafa pohonchayega
(toye) unkey liye baghaat hain jinkey neechey nadiyan behti hain hamesha
hamesha wo unmein rahengey (toye) Allah unsey razi hoga aur wo usey
razi hongey yehi sab se bari kamiyabi hai 5:119 aasmanon ka aur zameen
ka aur jo kuch unmein hai uska

