Page 203 - Quran-e-Kareem
P. 203
6 Sureh Al-Anam (203) 7 para
th
th
Ikhteyaar khuda hi ko hai (toye) aur wo her shae per (poori) qudrat
rakhney wala hai 5:120(16AIN5-6)
Surah Al-An’am (makee) 165 Ayaats
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahmaan o Raheem khuda k naam se (shuru kerta hoon)
Sab tareef us Alalh k liye hai jisney aasmanon aur zameen ko paida kia aur
andheron ko aur chandni ko muqarrar fermaya (toye) phir (bhi) apney
perwerdigaar ka inkaar kerney waley aur cheezon ko uski baraber theratey
hain 6:1 wo wohi tu hai jisney tumko miti se paida kia (toye)phir usney ek
mudat muqarrar ki aur muqarrar ki hui mudat ussi k ilm mein hai phir
(bhi) tum shak kertey ho 6:2 aur wohi Allah aasmanon mein (bhi) hai aur
zameen mein (bhi) tumhaarey posheeda ko (bhi) janta hai aur zahir ko
(bhi) aur jo kuch tum kertey ho usey agah hai 6:3 aur khuda ki nishaniyon
mein se koi nishani (bhi) unper nahi aati mager usey rogerdani (zaroor)
kertey hain 6:4 aur haq jiswaqt unkey pass aya usey zaroor unhoney
jhutlaya (toye)pus jis cheez ki ye hasi uraya kertey they zara agey chal ker

