Page 206 - Quran-e-Kareem
P. 206
6 Sureh Al-Anam (206) 7 para
th
th
Allah tumko koi takleef pohonchaye tu uskey siwa koi uska dafa kerney
wala nahi hai (toye) aur ager wo tumko koi khair-o-koobi pohonchaye tu
wo her cheez per qudrat rakhney wala hai 6:17 aur wo apney bandon per
ghalib aur (toye) wo sahib-e-hikmat-o-khabr hai 6:18 tum kehdo k gawahi
deney ka liye sab se bari cheez kaun hai (toye) tum kehdo k merey aur
tumhaarey maabayn Allah gawah hai aur ye quran bazariya wahi k merey
pass isliye bheja gaya k iskey zariye se mein tumko (bhi) daraon aur usey
(bhi) jistak ye pohonche kia tum gawahi detey ho k Allah k sath sath
(toye) aur bhi mabood hain ? (jeem) tum kehdo k mein tu ye gawahi deta
nahi tum kehdo k wo mabood (tu) yakta hai aur jin cheezon ko tum uska
shareek qarar detey ho mein unsey bari hoon 6:19 jin logon ko humney
kitaab di wo usko aesa hi pehchantey hain jaisa apney baitoun ko jin logon
ne apni zaat ko nukhsaan pohonchaya wo imaan na laayengey 6:20
(2AIN10-8) aur unsey ziada zalim kaun hoga jinhoney Allah per jhoota
bohtaan bandha ya uski nishaniyon ko jhutlaya beshak zalim falah na
paingey 6:21 aur usdin hum un sab ko

