Page 210 - Quran-e-Kareem
P. 210
6 Sureh Al-Anam (210) 7 para
th
th
Ke koi nishani nazil kare laikin unmein se akser samajhtey nahi 6:37 aur
koi zameen per rayngney wala aur koi parinda jo apney dono bazoan se
urdhta hai aesa nahi hai mager ye k wo (bhi) tum hi jaisey guroh hain
(toye) humney kitaab mein kisi tarhan ki kami nahi ki hai phir wo sab
apney per werdigaar k huzoor mein jama kiye jaingey 6:38 aur jo log
hamaari nishaniyon ko jhutlatey hain wo behrey aur goongey andheron
mein hain (toye) Allah jisey chaheyga usey tofeeq hidaayat cheen lega aur
jisey chaheyga seedhey raaste per daaldega 6:39 tum kehdo k aya tumney
apney aap ko itna samajh lia hai k ager azaab khuda tumko aley ya
qayamat tum per ajaye tu ager tum sachey ho tu Allah k siwa kisi aur ko
pukaar logey ? 6:40 balkey issi ko tum pukarogey phir ager wo chaheyga tu
jis baat k liye tum usey pukarogey usey door kerdega jinko tum shareek
kia kertey ho un sabko bhool jaogey 6:41 (4AIN11-10) aur humney tumsey
pehli umaton ki taraf rasool bhejey phir humney unko sakht nikhsaan aur
mussibat mein giraftaar kia takey wo ajizi aur zaari Karen 6:42

