Page 209 - Quran-e-Kareem
P. 209
6 Sureh Al-Anam (209) 7 para
th
th
Hum jaantey hain k jo kuch wo kehtey hain usey tumko ranj pohonchta
hai mager wo haqeeqat mein tumko nahi jhutlaatey balkey ye zalim Allah
ki nishaniyon ka inkaar kertey hain 6:33 aur tum sey pehley bohhot se
rasooloun ki takzeeb ki gayi hai phir unhoney apney jhutlaye janey per aur
takleef diye janey per saber kia jabtak k unkey pass hamaari madad na aayi
(jeem) aur Allah k kalmon ko koi badalney wala nahi hai (toye) aur
tumhaarey (pass bhi) bohhot se paighambaron ki khaber achuki hai 6:34
aur ager unka rogerdaan hona tumko aesa hi nagawar hai tu ager tumsey
hosakta hai tu zameen mein koi soorakh talash karo ya aasman per koi
seerdhi (laga ker chardh jao) k unko koi nishani lado (toye) aur Allah
chahta tu unko hidaayat per (jabaran) amada kerta pus tum jahilon mein
se hargiz na hona 6:35 siwaaye iskey nahi hai k wohi log qubool kerletey
hain jo (tawajoh se) suntey hain (toye) aur murdon ko khuda ta’ala
maboos karega phir wo uskey huzoor mein lotaaye jaingey 6:36 aur
unhoney ye kaha k uskey perwerdigaar ki taraf se koi nishani kyun na
nazil ki gayi tum kehdo k Allah tu is amr per beshak qadir hai

