Page 205 - Quran-e-Kareem
P. 205
6 Sureh Al-Anam (205) 7 para
th
th
Aghaira 6:10 (1AIN10-7) tum kehdo k tum zameen mein chalo phiro aur
phir (ghour se) daikho k jhutlaney walon ka anjaam kia hua 6:11 kehdo k
jo kuch aasmanon mein aur zameen mein hai kiska hai (toye) kehdo k wo
Allah hi ka hai (toye)jisney apni zaat per rehmat wajib kerli hai (toye) wo
qayamat k din jismein koi shak nahi hai tum sab ko zaroor yakja jamaah
karega (toye) jin logon ne apni zaat ko nukhsaan pohonchaya hai wo
imaan na laengey 6:12 aur raat aur din mein jo cheezein aram leti hai ussi
ki hai (toye) aur wo bara suney (wala) aur janey wala hai 6:13 kehdo k kia
mein khuda k siwa jo aasmanon ka aur zameen ka paida kerney wala hai
kisi aur ko hami banaloon halankey wo (sab ko) khilata hai aur usko
(kuch) nahi khilaya jata (toye) tum kehdo k mujhko hukum dia gaya hai k
sab se pehley mein islam laney wala banoon aur tum hargiz mushrikeen
mein se na hona 6:14 kehdo k ager mein apney perwerdigaar ki nafermani
karoon tu mein barey din k azaab se darta hoon 6:15 jisey usdin (azaab)
taljaye usper rehmat-e-khuda yaqeeni hui (toye) aur yehi khuli kamiyabi
hai 6:16 aur ager

