Page 207 - Quran-e-Kareem
P. 207
6 Sureh Al-Anam (207) 7 para
th
th
Jama karengey phir hum shareek kerney walon se kahenge k tumhaarey
wo sharka jinko tum khuda ka shareek guman kertey they kahan hain 6:22
phir unka koi haila na hoga siwaye iskey k ye kahenge humko apney
perwerdigaar Allah ki qasam hum mushrik na they 6:23 ghour tu karo k ye
apney hi berkhilaaf kaisa jhoot bolney lagey aur jo aftra perdaziyaan(ghalat
bayaan baazi) kia kertey they wo unsey kaisi gayi guzri hogayeen 6:24 aur
unmein se baaz aese (bhi) jo tumhaari taraf kaan lagaaye rehtey hain
halankey humney unkey dilon per perdey daal diye hain k wo usey na
samjhein aur unkey kanon mein girani (qarar dedi) hai (toye) aur ager wo
her ek mojiza dekhlengey tab (bhi) usper imaan na langey (toye) yahantak
k jab wo tumhaarey pass aingey tumsey jhagerney lagengey aur jo kafir
hochukey hain wo yahi kahenge wo kuch nahi hain mager pehloun ki
kahaniyan 6:25 wo usey logon ko baaz (bhi) rakhtey hain aur khudh (bhi)
door rehtey hain (jeem) halankey wo apni hi janon ko halak kertey hain
aur samajtey nahi 6:26 aur ager tum uswaqt ko dekho gey jab wo
jahannum pe kharey kiye jaingey tu ye kahenge k kash hum wapis kerdiye
jatey

