Page 208 - Quran-e-Kareem
P. 208
6 Sureh Al-Anam (208) 7 para
th
th
Aur hum apney rab ki nishaniyan na jhutlatey aur hum imaan laney walon
mein se hojatey 6:27 balkey ab jo kuch wo pehley chupaya kertey they wo
unper zahir hogaya hai (toye) aur ager wo wapis (bhi) kiye jaatey tu jis
cheez se unko baaz rakha gaya tha wo ussi ko phir kertey aur wo yaqeenan
jhootey hain 6:28 aur wo kehtey hain k jo kuch hai dunya hi ki zindagaani
hai aur hum maboos na kiye jaingey 6:29 aye kash k unko tum uswaqt
dekhtey jabkey wo apney perwerdigaar k samney kharey kiye jaingey (aur)
wo daryaaft karega k kia ye haq nahi hai tu wo kahenge haan hamarey
perwerdigaar ki qasam haq hai (toye) phir fermayga k bowajha uskey k
tum uska inkaar kia kertey ab azaab chako 6:30(3AIN10-9) yaqeenan wo
nuqsaan mea hai jo khuda k huzoor mein jaaney ko jhutlatey hain yahaan
tak k jab qayamat unko yakayak alegi uswaqt afsos humney kaisi kami ki
aur wo uswaqt apney apney wabaal apney peathon per uthaye hongey
khaberdaar hojao kitna bura hai wo jisey wo ladey huye hongey 6:31 aur
ye dunya ki zindagaani siwaye khel kood k kuch (bhi) nahi (toye) aur jo
log perhaizgaar hain akhirat ka gher unkey liye bohhot hi acha hai kia tum
itna nahi samajhtey 6:32

