Page 204 - Quran-e-Kareem
P. 204
6 Sureh Al-Anam (204) 7 para
th
th
Unko uski khabarein milengi 6:5 kia unhoney ye nahi dekha k humney
unsey pehley zamaney walon mein se kitney gorohon ko halak kia k unko
humney zameen mein aesa tamakkan ataa kiya tha k tumko waisa dia
(bhi) nahi hai aur aasmaan se unper mosladhaar mea (barish) bersaya
kertey they (soad) aur neechey unkey nadiyan jari kia kertey they phir
unkey gunahon k sabab se unko halak kerdia aur unkey baad doosrey
zamaney waley paida kerdeye 6:6 aur (aye rasool) ager hum tum per
kaghaz mein likhi hui kitaab (bhi) nazil kerdeytey jisko wo apney hathon
se chooletey tab (bhi) jo kafir hogaye hain wo yahi kehtey k ye kuch nahi
hai mager khula jadoo 6:7 aur unhoney kaha k is (nabi) per koi farishta
kyun nahi nazil kia gaya (toye)aur ager hum koi farishta naazil kertey tu
zaroor mamla hi tae kerdia jata phir unko koi mohlat na di jaati 6:8 aur
ager hum rasool ko farishta banatey tu usko mard (bhi) banatey aur hum
usko (bhi) zaroor aesa hi libas pehnatey jaisa ye log pehentey hain 6:9 aur
yaqeenan tum se pehley rasooloun ki (bhi) hasi urai gayi phir jis azaab ki
wo hasi uraya kertey they ussi ne un payghambaroun ki hasi uraney
walon ko

