Page 212 - Quran-e-Kareem
P. 212
6 Sureh Al-Anam (212) 7 para
th
th
Na kisi qisam ka khof (tari) hoga aur na wo ranjeeda hongey 6:48 aur
jinhoney hamaari aayatoun ko jhutlaya tu bawajah uskey k wo nafermani
kia kertey they azaab unko pohonch jayega 6:49 tum kehdo k mein tumsey
ye tu nahi kehta k merey pass khuda k khazaney hain aur na ye k mein
ghaib daan hoon aur na ye kehta hoon k mein farishta hoon (jeem) mein
tu sirf uski peravi kerta hoon jo meri taraf wahi ki jati hai (toye) tum
kehdo k kia andha aur ankhon wala baraber hai (toye) kia tum itna (bhi)
nahi sochtey 6:50 (5AIN9-11) aur jo log khof kertey hain unko isbaat se
darao k wo apney rab k huzoor mein jama kiye jaingey k wahan unkey liye
uskey siwa na koi himayati hoga aur na sifaarishi taakey wo daren 6:51 aur
jo subha o sham apney perwerdigaar ko pukaartey hain aur uski raza k
talib hain unko na nikalo (toye) na tumhaarey zimey unka kuch muhasaba
hai aur na unkey zimey kuch tumhaara muhasaba k tum unko nikaltey
phiro aur zaalimoun mein se hojao 6:52 aur issi tarhan humney baaz ka
imtehan baaz k zariye se kiya hai taakey wo ye kahein k

