Page 213 - Quran-e-Kareem
P. 213
6 Sureh Al-Anam (213) 7 para
th
th
Kia ye wohi log hain jinper Allah ne ahsaab kia hai (toye) kia Allah shuker
guzaron se (tumhaari nisbat) ziada bakhaber nahi hai 6:53 aur (aye rasool)
jiswaqt tumhaarey pass wo ayein jo hamaari aayatoun per imaan rakhtey
hain to tum unsey kehdo tumper salamti ho tumhaarey rab ne apni zaat
per rehmat wajib fermayi hai k tum mein se jo shaks azroye
jahalat(jehaalat ki wajah se ) koi badi karega phir uskey badh wo tobah
kerlega aur (kharabi ki) ki islah karega tu khuda ta’ala bara bakhshney
wala (aur) reham kerney wala hai 6:54 aur issi tarhan hum ayet ki tafseel
kertey hain takey qusoorwalon ka rasta saaf maloom hojaye 6:55 (6AIN6-
12)) kehdo k mujhey tu uski mumanat ki gayi hai k mein unki ibaadat
kerney lagoon jinko tum khuda k siwa pukaartey ho kehdo k mein
tumhaari khuwahishon ki peravi na karonga k us soorat mein (bhi) rasta
se bhatak jaon aur hidaayat yafta na rahoon 6:56 kehdo k mein apney rab
ki taraf se khuli daleel per hoon aur tum usko jhutlatey ho jiski tum jaldi
kertey ho wo merey pass nahi hai (toye) ikhtiyaar faqat khuda hi ko hai
wo haq ko bayan kerta hai aur wohi sab se behter faisla kerney wala hai
6:57 kehdo k ager wo merey pass hota jiski tum jaldi kertey ho tu merey
tumhaarey mabein mamla tae ho chukka hota (toye) aur Allah zaalimoun
k haal se khoob wakhif hai 6:58 aur

