Page 214 - Quran-e-Kareem
P. 214
6 Sureh Al-Anam (214) 7 para
th
th
Ghaib k khazaney ussi k pass hain uskey siwa un khazanoun ko koi nahi
janta aur wo khushki aur tari ki sab cheezon ko janta hai (toye) aur ek
patta (bhi) aesa nahi girta jisey won na janta ho aur koi dana zameen ki
andheriyon mein aur koi tar aur khushk aesa nahi hai jiska ziker khuli
kitaab mein na ho 6:59 aur wo khuda wohi hai jo raat ko tumari rooh qabz
kerleta hai aur din mein jo karwai tum ker chukey ho usey bhi wo janta
hai phir tumko ussi mein utha bhita ta hai k muqarrar kia hua waqt poora
ho (jeem) phir tumhaari baazghashti ussi ki huzoor mein hogi phir jo (jo)
kuch tum kia kertey they usey tumko agah kerdega 6:60(7AIN5-13) aur wo
apney bandon per ghalib hai aur tumper hifazet kerney waley bhejta hai
(toye) yahantak k jab tum mein se kisi ki maut aati hai tu hamarey bhejey
huye uska khatma kerdetey hain aur wo kisi tarhan kotahi nahi kertey 6:61
phir wo Allah apney berhaq malik ki taraf perey jaingey khaberdaar ho
ikhtiyaar ussi ka hai aur wo sab se taiz hisaab leney wala hai 6:62 tum
kehdo k khushki aur tari k anderiyon se tumko nijaat kaun deta hai jisey
tum (ro) rokey aur chupkey (chupkey) dua mangtey ho (jeem) k ager
usney usey humko bachalia tu hum zaroor shuker guzaar ban jaingey 6:63
kehdo k Allah

