Page 215 - Quran-e-Kareem
P. 215
6 Sureh Al-Anam (215) 7 para
th
th
Tumko un (andheriyon) se aur her ranj se nijaat deta hai phir tum uska
shareek kertey ho 6:64 kehdo k wo usper qadir hai k tumper azaab upper
ki taraf se bhejey ya tumhaarey paon k neechey se ya tumhaarey ek guroh
ko doosrey se bhiradey aur tum mein se ek ki sakhti ka mazah doosrey ko
chakaye (toye) ghour karo k hum ayaat ko kistarhan ulat palat kertey hain
takey wo samajh lein 6:65 aur tumhaari qaom ney usko jhutlaya halankey
wo haq hai (toye) tum kehdo k mein tumhaara nigraan nahi hoon 6:66
(toye) her cheez ka ek waqt moeeyann hai aur agey chal ker tum (bhi)
kerlogey 6:67 aur jiswaqt tum in logon ko dekho jo hamaari aayatoun
mein (banazar istahza-o-takzaib) ghor-o-khaoz(jhutlaane k liye ghour o
fikr) kertey hain to tum unsey aeraaz kerjao jabtak k wo doosri baat mein
ghor na kerney lagey (toye) aur ager shaitan tumko bhulade tu yaad ajaney
k baad zalim logon k pass na baitho 6:68 aur jo log mutaqi hain unkey
zimey zaalimoun k hisaab ka koi juzz na hoga laikin itna k yaad dilatey
rahey taakey wo baaz rahein 6:69 aur unlogon ko jinhoney apney deen ko
khel tamasha banarakha hai aur

