Page 216 - Quran-e-Kareem
P. 216
6 Sureh Al-Anam (216) 7 para
th
th
Dunya ki zindagaani ne unko dhoka dia hai chordo aur issi quran k zariye
se naseehat karo k nafs apney afaal se baaz rahey (qaaf) kyunke khuda k
siwa uska koi sifarashi aur himayati na hoga aur ager wo koi fidiya dena
chaheyga to usse qubool na kia jayega (toye) aur wo wahi tu hain jo apney
kertoot k sabab se halak kiye gaye (toye) unhi k liye garam pani ka peena
hai aur jin batoun ka inkaar kiya kertey they unhi k sabab se dardnaak
azaab hai 6:70 (8AIN10-14) tum kehdo kia hum khuda ko chor ker unki
ibaadat Karen jo humko na nafa pohonchain na nukhsaan aur baad uskey
k humko khuda hidaayat kerchuka masal us shaks k pichley paon phirjain
jisko bhooton ne zameen mein rasta bhula ker hairaan kerdia ho uskey
yaar dost seedhey raaste ki taraf bulaatey hi rahey k idher aao (idher aao)
tum kehdo k Allah ki hidaayat asal hidaayat tu wohi hai (toye) aur humko
hukum dia gaya hai k hum perwerdigaar aalam ko maan lein 6:71 (laa) aur
hukum dia gaya hai k tum namaz perho aur usey daro aur wo wohi hai
jiskey huzoor mein tum mehshoor kiye jaogey 6:72 aur wo khuda wohi hai
jisney aasmanon ko aur zameen ko berhaq paida kia

