Page 218 - Quran-e-Kareem
P. 218
6 Sureh Al-Anam (218) 7 para
th
th
Shareek (khuda) gerdantey ho door hon 6:78 mein tu sachey dil se aur
ataet guzari k liye sirf uski taraf apna rukh kerta hoon jisney aasmanon ko
aur zameen ko paida kia aur mein mushrikeen mein se nahi hoon 6:79
(jeem) aur unki qaom ney unsey jhagra kia (toye) fermaya kia tum Allah k
barey mein jhagertey ho halankey ussi ney mujhko rasta bataya hai jin (jin
ko) tum shareek kertey ho mein unsey nahi darta mager ye k mera
perwerdigaar hi khudh kuch chahey merey perwerdigaar ka ilm her cheez
se ziada hai kia tum itna nahi samajhtey 6:80 aur jin cheezon ko tum uska
shareek gerdantey ho mein unsey kyunker daroon halankey tum is baat se
nahi dartey k Allah ka shareek thehratey ho bawajoode k usney usko koi
daleel tumper nazil nahi ki (toye) phir ager tum ilm rakhtey ho tu socho k
dono grohon mein se kaunsa groho (jeem) be khauf rehney ka mustaheq
hai 6:81 (meem) jo imaan laaye aur unhoney ney apney imaan ko zulm se
nahi mila dia aman (o itmenaan) unhi k liye hai aur wohi hidaayat yafta
hai 6:82 (9AIN13-15) aur ye hamaari daleel thi jo humney ibraheem ko
unki qaom per (ghalba paney k liye) ata ki thi hum jiskey chahtey hain
bohhot se darjey buland kerdetey hain (toye) beshak tumhaara rab sahib-e-
hikmat-o-ilm hai 6:83 aur humney unko ishaq-o-yaqoob ata kiye

