Page 234 - Quran-e-Kareem
P. 234
6 Sureh Al-Anam (234) 8 para
th
th
ager Allah chahta tu hum shirk na kertey na hamarey baap dada aur na
hum kisi cheez ko haram qaraar detey (toye) unsey pehley log (bhi) issi
tarhan jhutlaya kertey they yahantak k unhoney hamarey azaab ka maza
chakha (toye) tum unsey kehdo k tumhaarey pass koi ilm hai to tum
hamey nikaal ker dikhao (toye) tum to sirf gumaan ki peravi kertey ho aur
tum kuch nahi ho mager atkal bachoo batein banatey ho 6:148 tum kehdo
k sab se berdhi hui hujjat khuda ki hai (jeem) phir ager wo chahta to tum
sab ko khudh hi hidaayat kerdeta 6:149 tum kehdo k tum apney in
gawahon ko bulalo jo uski gawahi dein k Allah ne is cheez ko haram qarar
dia hai (jeem) phir ager wo gawahi dein to tum unki tasdeekh na karo
(jeem) aur jo log hamaari aayaton ko jhutlatey hain aur akhirat per imaan
nahi rakhtey unki khwahishon per na chalo jis haal mein k wo apney
perwerdigaar ka maanind tehratey hain 6:150 (hamza) tum kehdo k aao
mein perdhker sunaon ker tumhaarey perwerdigaar ney tumper kia
cheezein haram ki hain ye k kisi ko iska shareek na karo aur waledean k
sath naiki karo (jeem) aur apni aulaad ko iflaas k khof se qatal na karo

